ye  zamīñ  hī  mirī  chaTā.ī  hai
aur  ye  āsmāñ  razā.ī  hai
zindagī  mat  qarīb  kar  us  ke
moḌ  par  hī  khaḌī  judā.ī  hai
tum  badalte  bajā  magar  kaise
dastaras  hī  mirī  burā.ī  hai
saañs  bāzārī  hotī  hai  phir  bhī
kitnī  lambī  dukāñ  jamā.ī  hai
zulm  par  kyā  zabān  kho  leñge
shahr  ye  aaj  be-navā.ī  hai
maz.haboñ  kā  naqāb  oḌhe  phir
aag  tū  ne  kahāñ  lagā.ī  hai
baaqī  sab  to  faqīr  jaisā  hai
chand  ġhazleñ  mirī  kamā.ī  hai
daur  thā  ḳhāksār  kahne  kā
ab  yahāñ  bazm-e-ḳhud-numā.ī  hai