hamārī  āñkhoñ  kī  putliyoñ  meñ  tirā  mubārak  maqām  haigā
palak  ke  paT  ham  ne  khol  dekhe  to  ain  māh-e-tamām  haigā
are  sharāb-e-ḳhirad  ke  kaifī  na  kar  tuuñ  da.avā-e-puḳhta-magzī
mai-e-mohabbat  kā  jaam  pī  tuuñ  ki  ab  talak  zarf  ḳhaam  haigā
ḳhayāl-e-abrū-e-qibla-rūyāñ  huā  hai  mehrāb-e-sajda-e-dil
namāz  shart-e-niyāz  kī  paḌh  saf-e-junūñ  kā  imaam  haigā
agarche  har  sarv-e-rāst-qāmat  chaman  meñ  maġhrūr-e-sar-kashī  hai
muqābil  is  qadd-e-ḳhush-adā  ke  mirī  nazar  meñ  ġhulām  haigā
'sirāj'  is  sho.ala-rū  siiñ  hargiz  gila  ravā  niiñ  hai  āshiqoñ  kuuñ
tamām  jaltī  hai  sham.a  har  shab  abas  patiñgoñ  kā  naam  haigā