tirī  nigāh  kī  aniyāñ  jigar  meñ  saliyāñ  haiñ
najānūñ  kaun  se  zahr-āb  biich  paliyāñ  haiñ
udhar  siiñ  tund  nigāheñ  idhar  dil-e-nāzuk
kidhar  ke  tiir  kī  choTeñ  kidhar  kuuñ  chaliyāñ  haiñ
ḳhayāl-e-ġhuncha-dahan  meñ  za-bas-ki  jaarī  hai
hamāre  ashk  kī  laḌ  motiye  kī  kaliyāñ  haiñ
zabān-e-hāl  siiñ  kahtā  hai  un  kā  naqsh-e-qadam
bahisht-e-dīda-o-dil  ḳhush-qadoñ  kī  galiyāñ  haiñ
na  pūchh  sarv  kā  un  qumriyoñ  kuuñ  ḳhāk-nashīñ
vo  sho.ala-qad  ke  dukhoñ  ai  'sirāj'  jaliyāñ  haiñ