āñkhoñ  meñ  hijr  chehre  pe  ġham  kī  shikan  to  hai
mujh  meñ  sajī  huī  magar  ik  anjuman  to  hai
sāñsoñ  ko  us  kī  yaad  se  nisbat  hai  aaj  bhī
mujh  meñ  kisī  bhī  taur  sahī  bāñkpan  to  hai
har  sub.h  chahchahātī  hai  chiḌiyā  muñDer  par
vīrān  ghar  meñ  aas  kī  koī  kiran  to  hai
mumkin  hai  us  kā  vasl  mayassar  na  ho  mujhe
lekin  is  aarzū  se  mirā  ghar  chaman  to  hai
har  vaqt  mahv-e-raqs  hai  chehra  ḳhayāl  meñ
be-rabt  zindagī  hai  magar  dil  magan  to  hai
har  lamha  us  se  rahtā  huuñ  masrūf-e-guftugū
kahne  ko  mere  saath  koī  ham-suḳhan  to  hai
mere  liye  ye  baat  hī  kaafī  hai  ai  'ravish'
kuchh  bhī  ho  mujh  meñ  ab  bhī  mirā  apnā-pan  to  hai