palkoñ  pe  sitāra  sā  machalne  ke  liye  thā
vo  shaḳhs  in  āñkhoñ  meñ  pighalne  ke  liye  thā
vo  zulf  havāoñ  meñ  bikharne  ke  liye  thī
aur  jism  mirā  dhuup  meñ  jalne  ke  liye  thā
jis  roz  tarāshe  ga.e  ye  zaḳhm  usī  roz
ik  zaḳhm  mirī  ruuh  meñ  palne  ke  liye  thā
us  ḳhvāb  kī  ta.abīr  mujhe  miltī  bhī  kaise
vo  ḳhvāb  to  afsānoñ  meñ  Dhalne  ke  liye  thā
jis  raah  ke  patthar  ko  'ravish'  kos  rahe  the
vo  raah  kā  patthar  to  sambhalne  ke  liye  thā