duur  tak  phailī  huī  hai  tīrgī  bāteñ  karo
Das  na  le  ham  ko  kahīñ  ye  ḳhāmushī  bāteñ  karo
aao  palkoñ  se  chuneñ  bikhre  hue  lamhāt  ko
niiñd  aa  jaa.e  na  jab  tak  ḳhvāb  kī  bāteñ  karo
bas  yahī  lamhe  ġhanīmat  haiñ  ki  ham  tum  saath  haiñ
kaun  jaane  mil  bhī  paa.eñ  phir  kabhī  bāteñ  karo
sirf  ik  karb-e-musalsal  hī  nahīñ  hai  zindagī
muḳhtasar  vaqfe  kī  sūrat  hai  ḳhushī  bāteñ  karo
ruuh  ke  nāsūr  to  riste  raheñge  umr  bhar
dard  meñ  aa  jaa.e  shāyad  kuchh  kamī  bāteñ  karo
kaun  jaane  kal  kā  sūraj  dekh  bhī  pā.eñge  ham
jab  talak  hai  raat  baaqī  bas  yūñhī  bāteñ  karo
is  qadar  ḳhāmosh  rahnā  bhī  nahīñ  achchhā  'ravish'
chhā  na  jaa.e  zehn  par  afsurdagī  bāteñ  karo