dīvār  kī  sūrat  thā  kabhī  dar  kī  tarah  thā
vo  dhund  meñ  lipTe  hue  manzar  kī  tarah  thā
dekhā  to  shagufta  sā  lagā  phuul  kī  sūrat
utrā  to  mirī  ruuh  meñ  ḳhanjar  kī  tarah  thā
maiñ  aaj  tahī-dast  huuñ  ik  ḳhaas  sabab  se
varna  maiñ  zamāne  meñ  sikandar  kī  tarah  thā
kuchh  vaqt  ne  tartīb  bigāḌī  mire  ghar  kī
kuchh  ghar  bhī  mirā  mere  muqaddar  kī  tarah  thā
vo  jāgte  lamhoñ  meñ  bhī  patthar  kī  tarah  thī
maiñ  niiñd  ke  aalam  meñ  bhī  aazar  kī  tarah  thā