ruuh  ko  apnī  tah-e-dām  nahīñ  kar  saktā
maiñ  kabhī  sub.h  se  yuuñ  shaam  nahīñ  kar  saktā
umr-bhar  saath  to  rah  saktā  huuñ  tere  lekin
apnī  āñkheñ  maiñ  tire  naam  nahīñ  kar  saktā
tujh  ko  itnā  nahīñ  ma.alūm  mire  baare  meñ
shart  rakh  kar  maiñ  koī  kaam  nahīñ  kar  saktā
mujh  pe  har  ik  se  mohabbat  kī  ye  tohmat  na  lagā
maiñ  ki  is  jazbe  ko  yuuñ  aam  nahīñ  kar  saktā
is  qadar  uljhā  huā  rahtā  huuñ  ḳhud  se  ki  'ravish'
do  ghaḌī  ko  bhī  maiñ  ārām  nahīñ  kar  saktā