is  se  pahle  ki  charāġhoñ  ko  vo  bujhtā  dekhe
us  se  kahnā  ki  vo  aa.e  mirā  chehra  dekhe
us  se  kahnā  mire  chehre  se  ye  āñkheñ  le  jaa.e
us  se  kahnā  ki  kahāñ  tak  koī  rasta  dekhe
maiñ  ne  dekhā  hai  samundar  meñ  utartā  sūraj
us  se  kahnā  ki  mashiyyat  kā  ishārā  dekhe
us  se  kahnā  ye  munādī  bhī  karā  dī  jaa.e
koī  is  ahd  meñ  ab  ḳhvāb  na  sachchā  dekhe
ek  muddat  se  in  āñkhoñ  meñ  koī  ḳhvāb  nahīñ
us  se  kahnā  vo  koī  ḳhvāb  na  aisā  dekhe
us  se  kahnā  kabhī  vo  bhī  to  sar-e-shām  'ravish'
merī  palkoñ  pe  sitāroñ  ko  utartā  dekhe