dilbarī  har  bul-havas  kī  had  siiñ  afzūñ  mat  karo
muflis-e-be-qadr  kuuñ  yak-pal  meñ  qārūñ  mat  karo
mat  chaḌhāo  āstīñ  tum  qatl  karne  par  mire
apne  dāman  kuuñ  abas  ālūda-e-ḳhūñ  mat  karo
mehrbānī  kī  tarah  pahlī  na  bhūlo  yak-ba-yak
bait-e-abrū  kuuñ  tum  apnī  taaza  mazmūñ  mat  karo
lazzat-e-mastī  agar  dil  kuuñ  tumhāre  hai  aziiz
jab  talak  dīvāna  hue  tab  lag  falātūñ  mat  karo
apne  āshiq  kuuñ  dikhāo  jalva-e-īmāñ-fareb
aql  kī  rakhtā  hai  bū  zāhid  kuuñ  majnūñ  mat  karo
kar  diye  haiñ  āshiqoñ  ne  ḳhuun  apne  kuuñ  sabīl
panja-e-nāzuk  kuuñ  mehñdī  laala  gulgūñ  mat  karo
chhoḌ  diyo  tā-ātish-e-hasrat  meñ  jal  kar  ḳhaak  ho.e
lāsha-e-āshiq  kuuñ  marne  ba.ad  madfūñ  mat  karo
āshiqoñ  kuuñ  is  do-bālā  kaif  kī  bardāsht  na.iiñ
ḳhat  kī  sabzī  lab  kī  shakkar  saath  ma.ajūñ  mat  karo
ḳhud-baḳhud  be-ḳhud  huā  hai  dekh  kar  tum  kuuñ  'sirāj'
is  qadar  nāz-o-adā  kā  sehr-o-jādū  mat  karo