mire  atrāf  ye  kaisī  sadā.eñ  raqs  kartī  haiñ
ki  yuuñ  lagtā  hai  mujh  meñ  apsarā.eñ  raqs  kartī  haiñ
isī  ummīd  par  shāyad  kabhī  ḳhushbū  koī  utre
mirī  yādoñ  ke  āñgan  meñ  havā.eñ  raqs  kartī  haiñ
mayassar  hī  nahīñ  aatī  mujhe  ik  pal  bhī  tanhā.ī
ki  mujh  meñ  ḳhvāhishoñ  kī  ḳhādmā.eñ  raqs  kartī  haiñ
mujhe  har  shaam  ik  sunsān  jañgal  khīñch  letā  hai
aur  is  ke  ba.ad  phir  ḳhūnī  balā.eñ  raqs  kartī  haiñ
kabhī  dekhā  hai  tum  ne  shaam  kā  manzar  jab  āñkhoñ  meñ
sitāre  TūTte  haiñ  aur  ghaTā.eñ  raqs  kartī  haiñ
kisī  kī  chaah  meñ  koī  'ravish'  jab  jaan  detā  hai
zamīñ  se  āsmāñ  tak  ātmā.eñ  raqs  kartī  haiñ