sitāra  TuuT  ke  bikhrā  aur  ik  jahān  khulā
ajiib  ruḳh  se  añdhere  meñ  āsmān  khulā
tulū-e-sub.h  se  pahle  maiñ  chhoḌ  jā.ūñgā
siyāh  raat  ke  pahlū  meñ  ik  makān  khulā
phir  is  ke  ba.ad  koī  raah  vāpsī  kī  na  thī
havā  ke  dosh  pe  is  tarah  bādbān  khulā
maiñ  jis  ko  DhūñD  rahā  thā  udaas  rātoñ  meñ
sitāra  ban  ke  vo  palkoñ  ke  darmiyān  khulā
na  jaane  kaun  mire  ḳhvāb  le  gayā  mujh  se
ki  umr  bhar  na  kabhī  phir  ye  sā.ebān  khulā
kabhī  jo  haath  uThā.e  'ravish'  duā  ke  liye
laboñ  ke  saath  samā.at  kā  bhī  gumān  khulā