Mirza Ibraheem Beg Maqtool

butan jab ki zulf-e-dota bandhte hain

Mirza Ibraheem Beg Maqtool

butāñ jab ki zulf-e-dotā bāñdhte haiñ
girah meñ dil-e-mubtalā bāñdhte haiñ
nahīñ bantī bulbul se apnī chaman meñ
ham ab āshiyāna judā bāñdhte haiñ
jafā khīñcheñge par na hāreñge jī ko
ye ham tum se shart-e-vafā bāñdhte haiñ
girah de ke sar par jo bāloñ kā juuḌā
ye nāzuk-badan ḳhush-adā bāñdhte haiñ
har ik taar meñ us ke dil-hā-e-ushshāq
baham jam.a kar ke milā bāñdhte haiñ
miyāñ hāl-e-'maqtūl' dekhā nahīñ kyā
kamar aap kis par bhalā bāñdhte haiñ
Top Urdushayar.com