Siraj Aurangabadi

qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
qad tirā sarv-e-ravāñ thā mujhe ma.alūm na thā
gulshan-e-dil meñ ayaañ thā mujhe ma.alūm na thā
dhuup meñ ġham kī abas jī kuuñ jalāyā afsos
us ke saa.e meñ amaañ thā mujhe ma.alūm na thā
yaar ne abrū o mizhgāñ siiñ mujhe said kiyā
sāhib-e-tīr-o-kamāñ thā mujhe ma.alūm na thā
sab jagat DhūñD phirā yaar na paayā lekin
dil ke goshe meñ nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā
ḳhaak tere qadam-e-pāk kī ai nūr-e-nigāh
surma-e-dīda-e-jāñ thā mujhe ma.alūm na thā
maiñ samajhtā thā ki us yaar kā hai nām-o-nishāñ
yaar benām-o-nishāñ thā mujhe ma.alūm na thā
roza-dārān-e-judā.ī kuuñ ḳham-e-abrū-e-yār
māh-e-īd-e-ramazāñ thā mujhe ma.alūm na thā
nigah-e-shoḳh ne dil ek karishme meñ liyā
kyā balā saif-e-zabāñ thā mujhe ma.alūm na thā
shab-e-hijrāñ kī na thī taab mujhe misl-e-'sirāj'
ruḳh tirā nūr-fishāñ thā mujhe ma.alūm na thā
Top Urdushayar.com