qad  tirā  sarv-e-ravāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
gulshan-e-dil  meñ  ayaañ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
dhuup  meñ  ġham  kī  abas  jī  kuuñ  jalāyā  afsos
us  ke  saa.e  meñ  amaañ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
yaar  ne  abrū  o  mizhgāñ  siiñ  mujhe  said  kiyā
sāhib-e-tīr-o-kamāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
sab  jagat  DhūñD  phirā  yaar  na  paayā  lekin
dil  ke  goshe  meñ  nihāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
ḳhaak  tere  qadam-e-pāk  kī  ai  nūr-e-nigāh
surma-e-dīda-e-jāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
maiñ  samajhtā  thā  ki  us  yaar  kā  hai  nām-o-nishāñ
yaar  benām-o-nishāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
roza-dārān-e-judā.ī  kuuñ  ḳham-e-abrū-e-yār
māh-e-īd-e-ramazāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
nigah-e-shoḳh  ne  dil  ek  karishme  meñ  liyā
kyā  balā  saif-e-zabāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā
shab-e-hijrāñ  kī  na  thī  taab  mujhe  misl-e-'sirāj'
ruḳh  tirā  nūr-fishāñ  thā  mujhe  ma.alūm  na  thā