sabhī  sadiyoñ  ko  mil  kar  sochnā  hai
ki  ik  lamhe  kā  man  kyoñ  anmanā  hai
tumhāre  paas  haiñ  ilm-o-hunar  sab
hamāre  paas  bas  ik  bachpanā  hai
bachā  kar  tum  use  gullak  meñ  rakkho
hameñ  to  zindagī  ko  ḳharchanā  hai
haiñ  kuchh  īmān  tere  khel  meñ  yā
tirā  maqsad  yahāñ  bas  jītnā  hai
sivā  is  ke  qayāmat  aur  kyā  hai
ḳhudā.ī  kā  ḳhudā  se  sāmnā  hai
zarā  ye  soch  kar  taqrīr  karnā
tumhāre  baad  ham  ko  bolnā  hai
chamak  sūraj  kī  kam  thoḌe  huī  hai
use  ghere  hue  bādal  ghanā  hai
kisī  din  bhaaḌ  ko  vo  phoḌ  degā
jise  kahte  haiñ  sab  thothā  chanā  hai