ġhazal  tum  ko  sunāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
maiñ  yuuñ  hī  muskurāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
maiñ  kāfir  huuñ  ḳhudā  ke  dar  kabhī  sajda  nahīñ  kartā
magar  maiñ  sar  jhukāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
koī  bhī  khel  ho  maiñ  ehtiyāt  itnī  barattā  huuñ
maiñ  pahle  haar  jaane  ke  bahāne  DhūñDh  letā  huuñ
nahīñ  dikhtā  hai  mujh  ko  Thiik  se  ab  duur  kā  kah  kar
tire  nazdīk  aane  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
maiñ  us  ke  dar  pe  jā  kar  māñgtā  huuñ  haath  jab  terā
ḳhudā  ko  āzmāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
tirī  mahfil  meñ  aatā  huuñ  pahan  kar  dhuup  kā  chashma
nazar  tujh  par  Tikāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
maiñ  lā-javāb  huuñ  lekin  hai  aqīda  eid  par  merā
gale  tujh  ko  lagāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
hai  maqsad  ye  ki  logoñ  ke  kalejoñ  ko  mile  ThanDak
maiñ  apnā  dil  jalāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ
bahut  zoroñ  se  hañs  paḌtā  huuñ  maiñ  bin  baat  ke  aksar
maiñ  yuuñ  aañsū  bahāne  ke  bahāne  DhūñD  letā  huuñ