naqsh-e-qadam  huā  huuñ  mohabbat  kī  raah  kā
kyā  dil-kushā  makāñ  hai  mirī  sajda-gāh  kā
garmī  siiñ  āftāb-e-qayāmat  kī  kyuuñ  darūñ
saaya  hai  mujh  kuuñ  sarv-e-qayāmat-panāh  kā
nāsūr  ho  ki  roz-e-qayāmat  talak  bahe
jis  ke  jigar  meñ  tiir  lage  tujh  nigāh  kā
piv  kā  jamāl  dekh  huā  chaak  chaak  dil
jiyūñ  ki  katāñ  pe  aks  paḌe  nūr-e-māh  kā
Dore  nahīñ  haiñ  surḳh  tirī  chashm-e-mast  meñ
shāyad  chaḌhā  hai  ḳhuun  kisī  be-gunāh  kā
dil  tujh  birah  kī  aag  siiñ  kyūñkar  nikal  sake
sho.ala  señ  kyā  chalegā  kaho  barg  kaah  kā
sumbul  hai  jiyūñ  ki  jalva-numā  jūebār  par
āñkhoñ  meñ  merī  aks  do-zulf-e-siyāh  kā
mahtāb-rū  ke  ruḳh  pe  siyah  ḳhat  nahīñ  'sirāj'
jā  kar  khalā  huā  hai  mire  duud  aah  kā