Manmohan Talkh

kuchh der to sab kuchh TuTne ka mahaul raha

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
kuchh der to sab kuchh TūTne kā māhaul rahā
mat pūchh ki phir is dil par kaisā haul rahā
jab chāhā us meñ ḳhud ko chhupā lete haiñ sab
āvāzoñ kā har zaat pe koī ḳhol rahā
yuuñ lagtā thā jo baat hai ulTī paḌtī hai
ab kyā hī kaheñ tab haul sā koī haul rahā
ab kaun kahāñ aayā ki gayā mālūm nahīñ
bas qadmoñ kī aahaT kā ik māhaul rahā
kah bhī na sakā maiñ us meñ shāmil thā ki nahīñ
bas ek chhalāve sā mastoñ kā ġhol rahā
āvāz-e-faqīrāna kashkol ummīdoñ kā
ab ye to rahī āvāz vahāñ kashkol rahā
ham 'talḳh' faqat us daur kī ab kuchh yādeñ haiñ
jab dard bhī thā kahne kā bhī māhaul rahā
Top Urdushayar.com