saañs  roke  raho  lo  phir  vo  sadā  aatī  hai
jis  ko  tarseñ  ka.ī  sadiyāñ  to  sunī  jaatī  hai
koī  pahchān  vahī  phāñs  banī  hai  ki  jo  thī
ajnabiyyat  vahī  har  saañs  meñ  sharmātī  hai
haath  phailā.e  hue  maañg  rahī  hai  kyā  raat
kyuuñ  añdheroñ  meñ  havā  ro.e  chalī  jaatī  hai
maut  kī  niiñd  magar  ab  ke  zarūr  uchTī  hai
varna  ham  aisoñ  ko  jhapkī  sī  kahāñ  aatī  hai
baat  kartā  huuñ  maiñ  sab  kī  ye  gumāñ  kaise  hai
merā  har  sāneha  merā  hai  bahut  zaatī  hai
kaifiyat  sī  ye  magar  kyā  hai  hamāre  jī  kī
jaise  raftār  ki  raftār  se  Takrātī  hai
apnā-pan  bhī  hai  vahī  aur  vahī  khoyā-pan
'talḳh'  tū  aaj  bhī  pahle  sā  hī  jazbātī  hai