ye  maiñ  nahīñ  huuñ  jo  shāmoñ  ko  ghar  meñ  aatā  huuñ
kahīñ  se  ḳhud  sā  koī  roz  DhūñDh  laatā  huuñ
khulā  na  jī  pe  jo  dukh  maiñ  vahī  bhulātā  huuñ
zarā  sī  baat  ko  kitne  baras  lagātā  huuñ
tumhārī  aañkh  kā  gum-karda  rabt  banñe  ko
ye  roz  ḳhud  ko  kahāñ  se  maiñ  DhūñD  laatā  huuñ
maiñ  apne  zehn  meñ  tanhā  rahā  huuñ  misl-e-ḳhayāl
maiñ  apne  jī  ke  hī  dukh  sau  tarah  manātā  huuñ
bahut  dinoñ  se  nahīñ  mujh  pe  din  Dhalā  jaise
maiñ  tere  rāstoñ  pe  shaam  banñe  aatā  huuñ
ye  mauj  mauj  sī  gahrā.ī  ban  ke  chhū  na  mujhe
ki  maiñ  vasī.a  kināroñ  ke  dukh  uThātā  huuñ
vo  yaad  hai  mirī  bātoñ  kī  tū  ki  ab  bhī  tujhe
maiñ  dekh  luuñ  to  bahut  ḳhud  ko  yaad  aatā  huuñ
maiñ  intishār  hī  meñ  rah  sakā  mukammal  'talḳh'
vo  silsila  huuñ  ki  juḌne  meñ  TuuT  jaatā  huuñ