sanam  ḳhush  tab.īyāñ  sīkhe  ho  tum  kin  kin  zarīfoñ  siiñ
ki  ye  lutf-e-adā  ma.alūm  hotā  hai  latīfoñ  siiñ
likhūñ  vasf  us  kī  zulfoñ  ke  qalam  kar  shāḳh-e-sumbul  kuuñ
davātoñ  meñ  siyāhī  bhar  gul-e-shabbū  kī  qīfoñ  siiñ
tirī  sīdhī  nigāheñ  in  dinoñ  meñ  garm-e-ulfat  haiñ
mujhe  saifī  lagī  hai  haat  ka.ī  vird  aur  vazīfoñ  siiñ
ḳhayāl  is  kā  ham-āġhosh-e-nazar  hai  saat  pardoñ  meñ
ajab  shoḳhī  siiñ  pesh  aayā  hai  ye  shoḳh  un  afīfoñ  siiñ
kahāñ  paa.e  maze  ke  is  qadar  us  ne  baḌe  koī
tirī  āñkhoñ  kuuñ  sau  darje  sharāfat  hī  sharīfoñ  siiñ
hujūm-e-bul-havas  ke  sham.a-e-majlis  ho  so  kyā  ma.anī
latīfoñ  kuuñ  ravā  niiñ  iḳhtilāt  aise  kasīfoñ  siiñ
mizājeñ  nā-muvāfiq  hoñ  to  kab  sohbat  barār  ho.e
nahīñ  miltī  hamārī  tab.a  in  duniyā  ke  jīfoñ  siiñ
abas  mat  dekh  āñkheñ  phaaḌ  phaaḌ  in  chashm-e-ḳhūnīñ  kuuñ
paḌā  niiñ  nargis-e-bāġhī  tujhe  kaam  in  harīfoñ  siiñ
ḳhas-o-ḳhāshāk-e-rah  haiñ  ham  tire  ai  sho.ala-ḳhū  zālim
munāsib  niiñ  hai  itnī  sar-kashī  āḳhir  za.īfoñ  siiñ
subuk  rūhān-e-ma.anī  bū-e-gul  haiñ  bāġh-e-irfāñ  ke
har  ik  ḳhār-e-girāñ  jaañ  kuuñ  ḳhabar  kyā  in  latīfoñ  siiñ
ġhalat  niiñ  hai  ki  bulbul  hāfiz-e-sīpāra-e-gul  hai
sanad  rakhtā  huuñ  maiñ  gul-barg  ke  rañgīñ  sahīfoñ  siiñ
raqīb  us  sañg-dil  siiñ  muntazir  haiñ  ham-kalāmī  ke
suḳhan  kartā  hai  kab  vo  koh-e-tamkīñ  in  ḳhafīfoñ  siiñ
adīb-e-ishq  ke  shāgird  haiñ  farhād  aur  majnūñ
ki  koh-o-dasht  kā  maktab  hai  garm  in  do  ḳhalīfoñ  siiñ
'sirāj'  is  sham.a  kuuñ  hai  shauq  parvāne  jalāne  kā
duā  kar  yā  ilāhī  mom  dil  ho.e  ham  najīfoñ  siiñ