shikasta-pā  ko  bhī  ab  zauq-e-rah-navardī  hai
diloñ  meñ  ham  ne  vo  dhun  manziloñ  kī  bhar  dī  hai
guzār  kar  tirī  yādoñ  meñ  chaar  din  ham  ne
samajh  liyā  ki  koī  ḳhaas  baat  kar  dī  hai
mirī  talab  mirī  hastī  se  kuchh  ziyāda  na  thī
agarche  mujh  pe  ye  tohmat  jahāñ  ne  dhar  dī  hai
jo  rāste  nazar  aate  haiñ  jāne-pahchāne
unhīñ  ne  gum-shudagī  kī  hameñ  ḳhabar  dī  hai
milā  surāġh-e-haqīqat  to  dekhtā  kyā  huuñ
ki  us  ne  quvvat  iz.hār  ḳhatm  kar  dī  hai
na  pūchh  āgahī-e-ġham  ki  yuuñ  huā  mahsūs
dahaktī  aag  pe  maiñ  ne  zabān  dhar  dī  hai
bahut  bujhī  huī  bātoñ  kā  bojh  hai  dil  par
magar  kisī  ko  bhī  kyā  'talḳh'  ne  ḳhabar  dī  hai