jis  kuuñ  dard-e-jigar  kī  lazzat  hai
zahar  us  kuuñ  misāl-e-amrat  hai
dekh  tujh  naaz  kī  nazākat  kuuñ
nighat-e-gul  shahīd-e-hairat  hai
kam-numā.ī  siiñ  us  qamar-rū  kuuñ
māh-e-nau  kī  misāl  shohrat  hai
merī  āñkhoñ  meñ  yaar  kī  tasvīr
aks-e-ā.īna-e-mohabbat  hai
jhāñjh  meñ  kyuuñ  na  aave  dil  merā
tujh  judā.ī  kī  mujh  ko  naubat  hai
kyā  chukā  bū  hai  zulf  meñ  terī
aarsī  jis  kuuñ  dekh  chakrat  hai
vasl  meñ  iztirāb  jaatā  nahīñ
sau  qaran  mujh  kuuñ  ek  saa.at  hai
misl-e-ā.īna  kar  namad-poshī
sāfī-e-sīna  tark-e-zīnat  hai
phir  patañgoñ  kā  shor  uTThā  'sirāj'
jalva-e-sham.a-rū  qayāmat  hai