huā  huuñ  in  dinoñ  maa.il  kisī  kā
na  thā  maiñ  is  qadar  ghā.il  kisī  kā
divāne  dil  kuuñ  samjhātā  huuñ  lekin
kahāñ  lag  ho.e  koī  haa.il  kisī  kā
huā  hai  dil-dahī  kā  tum  pe  tāvāñ
nahīñ  āsān  lenā  dil  kisī  kā
ḳham-e-gesū  siiñ  apne  tū  girah  khol
khule  tā  uqda-e-mushkil  kisī  kā
kiyā  yak  vaar  meñ  ka.ī  dil  kī  phāñkeñ
lagā  hai  haat  kyā  kāmil  kisī  kā
galī  meñ  jis  kī  shor-e-karbalā  hai
salonā  shoḳh  hai  qātil  kisī  kā
kaho  us  lāla-e-gulzār-e-jāñ  kuuñ
kabhī  to  dekh  dāġh-e-dil  kisī  kā
'sirāj'  ab  soz-e-dil  merā  vo  jaane
jo  hai  parvāna-e-mahfil  kisī  kā