har  har  varaq  pe  kyuuñ  ki  likhūñ  dāstān-e-hijr
aatā  nahīñ  zabān-e-qalam  par  bayān-e-hijr
zāhir  agarche  tāza-o-tar  misl-e-lāla  huuñ
mujh  dil  meñ  jānashīn  hai  dāġh-e-nihān-e-hijr
pazhmurda  kyuuñ  na  ho.e  gul-e-ummīd-e-āshiqāñ
bahtī  hai  dil  ke  baaġh  meñ  bād-e-ḳhizān-e-hijr
āb-e-hayāt  vasl  siiñ  de  umr-e-jāvedāñ
hai  be-qarār  ġham  siiñ  tire  nīm-jān-e-hijr
vo  āshiqī  kī  misl  meñ  manzūr  hai  mudām
chille  maiñ  ġham  ke  baiTh  jo  khīñchā  kamān-e-hijr
niiñ  sair-e-lāla-zār  kī  āshiq  kuuñ  aarzū
az-bas  hai  dāġh-e-sīna  gul-e-bostān-e-hijr
jaarī  ba-rāh-e-chashm  satī  ḳhūn-e-dil  'sirāj'
jab  siiñ  mire  jigar  meñ  lagī  hai  sinān-e-hijr