umañgoñ  meñ  vahī  josh-e-tamannā-zād  baaqī  hai
abhī  dil  meñ  ḳhudā  rakkhe  kisī  kī  yaad  baaqī  hai
sar-e-manzil  fareb-e-rahnumā  kā  toḌ  mushkil  thā
ġhanīmat  hai  ki  shauq-e-marhala-ījād  baaqī  hai
hañsī  aatī  hai  tere  is  ġhurūr-e-dām-dārī  par
koī  phandā  bhī  sābit  aaj  ai  sayyād  baaqī  hai
sahar  ne  aa  ke  chehra  vaqt  kā  dhoyā  to  kyā  dhoyā
fazāoñ  par  ġhubār-e-ḳhātir-e-nāshād  baaqī  hai
tabāhī  gherne  vaalī  thī  āḳhir  kin  safīnoñ  ko
tah-e-girdāb  shor-e-har-che  bādā-bād  baaqī  hai
abhī  se  bañdh  ga.ī  hichkī  chaman-afroz  kaliyoñ  kī
abhī  to  dāstān-e-nig.hat-e-barbād  baaqī  hai
zabān-e-vaqt  kal  se  ik  nayā  afsāna  chheḌegī
bahut  thoḌī  sī  'yāqūb'  aaj  kī  rūdād  baaqī  hai