suno  to  ḳhuub  hai  Tuk  kaan  dhar  merā  suḳhan  pyāre
ki  āshiq  par  na  honā  is  qadar  bhī  dil  kaThan  pyāre
kidhar  ho  be-ḳhabar  ho  kyā  magar  ahvāl  siiñ  mere
udhar  dekho  ai  zālim  lā-ubālī  man-haran  pyāre
na  kar  āzurda-ḳhātir  bulbul-e-betāb  kuuñ  hargiz
ġhanīmat  buujh  do  din  kī  bahār  ai  man-haran  pyāre
phañsā  hai  mujh  sarī  kā  said  aa  kar  daam  meñ  tere
kiyā  tū  ne  magar  kuchh  sehr  ai  jaadū  nayan  pyāre
taġhāful  mat  karo  ai  nau-bahār-e-gulshan-e-ḳhūbī
tumhāre  bin  nipaT  be-āb  hai  dil  kā  chaman  pyāre
mire  dil  kī  kalī  murjhā  rahī  hai  sarsar-e-ġham  señ
karo  Tuk  muskurā  kar  baat  ai  shīrīñ-dahan  pyāre
'sirāj'  ab  sho.ala-e-ulfat  meñ  jiyūñ  parvāna  jaltā  hai
na  jānūñ  tujh  satī  is  kuuñ  lagī  hai  kyā  lagan  pyāre