mazāq-e-kāvish-e-pinhāñ  ab  itnā  aam  kyā  hogā
zabāñ  par  ham-safīroñ  kī  mirā  paiġhām  kyā  hogā
kahe  detā  hai  ḳhud  āġhāz  hī  anjām  kyā  hogā
tirī  ātish-bayānī  se  charāġh-e-shām  kyā  hogā
na  ghabrā  bāġhbāñ  bulbul  kī  rasmī  nauha-ḳhvānī  se
bhalā  in  chand  tinkoñ  kā  nasheman  naam  kyā  hogā
fidā-e-kasmpursī  huuñ  nisār-e-talḳh-kāmī  huuñ
mire  azm-e-talab  kā  mudda.ā  ārām  kyā  hogā
fareb-andar-fareb  ātish-dar-ātish  ai  ma.āz-allāh
ḳhudā  nā-karda  fasl-e-gul  tirā  anjām  kyā  hogā
irādat  kā  bharam  khul  jā.egā  bai.at  na  le  saaqī
giraftār-e-salāsil  huuñ  tavāf-e-jām  kyā  hogā
ye  kyuuñ  samjhā.ūñ  maiñ  'yāqūb'  nok-e-nashtar-e-ġham  ko
jo  baaqī  rah  gayā  hai  ḳhūn-e-haft-andām  kyā  hogā