Yaqoob Usmani

main chahun bhi to zabt-e-guftugu main la nahin sakta

Yaqoob Usmani

maiñ chāhūñ bhī to zabt-e-guftugū maiñ nahīñ saktā

samajhne par bhī dil mudda.ā samjhā nahīñ saktā

bhalā aisī tahī-dāmāñ tamannāoñ se kyā hāsil

bahalne par dil āmāda hai aur bahlā nahīñ saktā

ḳhudā mahfūz rakkhe ḳhauf-e-āseb-e-asīrī se

maiñ gulshan meñ bhī āzādī naġhma nahīñ saktā

rag-e-gul se bhī nāzuk-tar haiñ tinke āshiyāne ke

inheñ gulchīñ har andāz-e-navāzish bhā nahīñ saktā

bharā jā.egā kab tak ḳhūn-e-māzī nabz-e-fardā meñ

ab is pahlū pe nazm-e-qalb-e-getī aa nahīñ saktā

kise fitna samajh kar apnī mahfil se uThātā hai

zamīr-e-amn is dhoke meñ nādāñ aa nahīñ saktā

sahāb-e-fikr bhī 'yāqūb' pāband-e-fazā niklā

chaman ḳhaak par rañg-e-suḳhan barsā nahīñ saktā

Top Urdushayar.com