ḳhush-fahmiyoñ  ko  ġhaur  kā  yaarā  nahīñ  rahā
tūfāñ  kī  zad  se  duur  kinārā  nahīñ  rahā
baḌh  baḌh  ke  DhūñDhte  haiñ  panāheñ  na.ī  na.ī
fitnoñ  ko  tīrgī  kā  sahārā  nahīñ  rahā
biitā  bayāñ  bahā-e-tamannā  baḌhā  ga.iiñ
naqd-e-sukūñ  gañvā  ke  ḳhasārā  nahīñ  rahā
baaqī  thā  jis  ke  dam  se  bharam  ehtiyāj  kā
himmat  ko  vo  karam  bhī  gavārā  nahīñ  rahā
nāzāñ  hai  apnī  fat.h  pe  is  tarah  maut  aaj
jaise  koī  hayāt  kā  maarā  nahīñ  rahā
ḳhurshīd  inqalāb  kā  ā.īna  ho  to  ho
mizhgāñ  se  gir  ke  ashk  sitārā  nahīñ  rahā
'yāqūb'  lamhe  lamhe  se  zāhir  hai  be-ruḳhī
sāhil-navāz  vaqt  kā  dhārā  nahīñ  rahā