chāhtī  hai  āḳhir  kyā  āgahī  ḳhudā-ma.alūm
kitne  rañg  badlegī  zindagī  ḳhudā-ma.alūm
kal  to  ḳhair  ai  rahbar  tere  saath  rahrav  the
aaj  kis  pe  hañstī  hai  gumrahī  ḳhudā-ma.alūm
ab  bhī  sub.h  hotī  hai  ab  bhī  din  nikaltā  hai
jā  chhipī  kahāñ  lekin  raushnī  ḳhudā-ma.alūm
rāstī  gurezāñ  hai  āshtī  hirāsāñ  hai
kis  se  kis  se  uljhegā  aadmī  ḳhudā-ma.alūm
ab  to  vaqt  aayā  hai  Duub  kar  ubharne  kā
kitnī  kashtiyāñ  Dūbīñ  aur  abhī  ḳhudā-ma.alūm
zauq-e-naġhma-e-pairā.ī  tū  hī  baḌh  ke  de  āvāz
kab  se  ġharq-e-hairat  hai  ḳhāmushī  ḳhudā-ma.alūm
sirf  bhiik  māñgī  thī  ham  ne  ādamiyat  kī
kyuuñ  biphar  ga.e  'yāqūb'  mudda.ī  ḳhudā-ma.alūm