Yaqoob Usmani

tufan ki zad pe apna safina jab aa gaya

Yaqoob Usmani

tūfāñ kī zad pe apnā safīna jab aa gayā
sāhil ko mauj mauj ko sāhil banā gayā
muñh takte takte thak ga.iiñ hirmāñ-nasībiyāñ
har inqalāb-e-shauq kī himmat baḌhā gayā
zauq-e-nazar kī jur.at bebāk al-amāñ
rañg-e-hayāt ban ke fazāoñ pe chhā gayā
tharrā ke sham-e-anjuman-e-aish bujh ga.ī
nairañg-e-nūr-e-sub.h-o-manzar dikhā gayā
ijz-e-rah-e-niyāz ke qurbān jā.iye
naqsh-e-qadam ko naqsh-e-tamannā banā gayā
itnā karam bhī jabr-e-mohabbat kā kam nahīñ
ghuT ghuT ke marne vāloñ ko jiinā sikhā gayā
sho.ale se kyuuñ lapakte haiñ gulshan se baar baar
'yāqūb' kyā bahār kā mausam phir aa gayā
Top Urdushayar.com