hamāre  paas  jānāñ  aan  pahuñchā
dil-e-be-jān  kuuñ  ab  jaan  pahuñchā
na  hove  kyuuñ  shor  dil  kī  bāñslī  meñ
malāhat  kā  salonā  kaan  pahuñchā
kamāñ-abrū  kī  har  tirchhī  nigah  siiñ
jigar  ke  toḌne  kuuñ  baan  pahuñchā
dikhāyā  mus.haf-e-ruḳhsār  apnāñ
hamārā  diin  aur  īmān  pahuñchā
mujhe  kah  kākrezī  chīre  vaale
ki  vaqt-e-sair-e-nā-farmān  pahuñchā
mai  o  jaam  o  gul-e-mutrib  hai  maujūd
bahār-e-vasl  kā  sāmān  pahuñchā
dil-e-muflis  ne  paayā  vasl  kā  ganj
bhikārī  kuuñ  daras  kā  daan  pahuñchā
'sirāj'  ab  ghar  tirā  raushan  huā  hai
magar  vo  sham.a-rū  mehmān  pahuñchā