ham  haiñ  mushtāq-e-javāb  aur  tum  ho  ulfat  siiñ  ba.iid
naqd-e-dil  gar  tum  kuuñ  pahuñchā  hai  to  bhijvā  dev  rasīd
baaġh  meñ  ham  mar  ga.e  mahrūm-e-vasl-e-gul-badan
haiñ  hamāre  aaj  phuul  aur  bulbuloñ  ke  haq  meñ  iid
lashkar-e-qalb-e-saf-e-ushshāq  meñ  hai  ġhalġhala
yakka-tāz-e-āh  kuuñ  kis  ne  kiyā  hai  nā-rasīd
husn  kuuñ  hai  naqd-e-nāz  aur  ishq  kuuñ  jins-e-niyāz
phir  abas  shikva  hai  ye  saudā  huā  hai  ḳhush-ḳharīd
baaġh  siiñ  gulchīñ  chalā  tab  bulbuloñ  ne  ġhul  kiyā
hazrat-e-gul  kuuñ  kiyā  jaatā  hai  ye  kāfir  shahīd
rah-navardān-e-junūñ  kuuñ  fatahyāb-e-faiz  hai
ābloñ  ke  qufl  ko  ḳhār-e-bayābāñ  hai  kalīd
but-parastoñ  kuuñ  hai  īmān-e-haqīqī  vasl-e-but
barg-e-gul  hai  bulbuloñ  kuuñ  jild-e-qur.ān-majīd
nūr-e-jāñ  fānūs-e-jismī  siiñ  judā  kab  hai  'sirāj'
sho.ala  tār-e-sham.a  siiñ  kahtā  hai  min-hablil-varīd