maiñ  samajhtā  thā  haqīqat  āshnā  ho  jā.egā
kyā  ḳhabar  thī  merī  bātoñ  se  ḳhafā  ho  jā.egā
rafta-rafta  ibtilā-e-ġham  shifā  ho  jā.egā
dard  hī  had  se  guzarne  par  davā  ho  jā.egā
ham  pe  to  pahle  hī  zāhir  thā  ma.āl-e-bandagī
pūjne  jāoge  jis  but  ko  ḳhudā  ho  jā.egā
tajarbe  kī  aañch  se  āḳhir  raqīb-e-rū-siyah
un  kī  qurbat  se  hamārā  ham-navā  ho  jā.egā
aah  jo  siine  se  niklegī  fuġhāñ  ban  jā.egī
ashk  jo  āñkhoñ  se  Tapkegā  duā  ban  jā.egā
dam-ba-dam  jo  saath  dene  kā  kiyā  kartā  thā  ahd
kis  ko  thā  ma.alūm  ki  ik  din  judā  ho  jā.egā
chhoḌne  vaale  sar-e-rāhe  hameñ  tere  liye
zindagānī  kā  safar  be-mudda.ā  ho  jā.egā
ik  nigāh-e-lutf  vo  pahlī  sī  dildārī  ke  saath
daan  kar  diije  ġharīboñ  kā  bhalā  ho  jā.egā
sahal-tar  hogā  najāt-e-ḳhalq  meñ  qarz-e-vafā
jaan  bhī  degā  agar  'aḳhtar'  adā  ho  jā.egā