Akhtar Ziai

ghair ki bad-gumaniyon pe na ja

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
ġhair kī bad-gumāniyoñ pe na jā
be-haqīqat kahāniyoñ pe na jā
khīñch letā hai dāman-e-ehsās
phuul kī be-zabāniyoñ pe na jā
us kī ġhārat-garī ko dhyān meñ rakh
aql kī pāsbāniyoñ pe na jā
sabr kī dostī ko rakh malhūz
jabr kī hukmarāniyoñ pe na jā
ḳhubs-e-bātin ke zahr se bhī bach
mahz shīrīñ-bayāniyoñ pe na jā
mustaqil zulm kā mudāvā kar
aarzī mehrbāniyoñ pe na jā
ruuh kī bhī pukār sun 'aḳhtar'
jism kī kāmrāniyoñ pe na jā
Top Urdushayar.com