Akhtar Ziai

tujhse ai zist hamein jitne hasin KHwab mile

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933

tujh se ai ziist hameñ jitne hasīñ ḳhvāb mile

naqsh-bar-āb kabhī sūrat-e-sīmāb mile

ham ne har mauj-e-havādis ko kinārā samjhā

ham ko har mauj meñ lipTe hue girdāb mile

gardish-e-vaqt ne gahnā diye kitne sūraj

sub.h god meñ dam toḌte mahtāb mile

jab bhī sadiyoñ futūhāt ko muḌ kar dekhā

ḳhuuñ meñ luThḌe hue tārīḳh ke abvāb mile

sail-e-zulmāt meñ hai qāfila-e-manzil-e-shab

kaash aise meñ koī najm-e-ufuq-tāb mile

ahal-e-kirdār ko dekhā hai sar-e-dār aksar

ahal-e-guftār tah-e-sāya-e-mehrāb mile

fasl-e-gul aa.ī hai yaaro to ġhanīmat jaano

phuul afsurda sahī zaḳhm to shādāb mile

dil ke har daaġh se vābasta hai rūdād-e-sitam

rañj baḌhtā gayā juuñ juuñ mujhe ahbāb mile

mujh ko 'aḳhtar' na milī nāla-e-shab-gīr daad

qarya-e-shauq ke sab log garāñ-ḳhvāb mile

Top Urdushayar.com