Akhtar Ziai

saman sad hazar hain tu jag to sahi

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
sāmān sad hazār haiñ tū jaag to sahī
sab vaqf-e-intizār haiñ tū jaag to sahī
ġhāfil nazar uThā ki vo āsār-e-sub.h-e-nau
gardūñ pe āshkār haiñ tū jaag to sahī
auqāt terī quvvat-e-bāzū pe munhasir
lamhāt sāzgār haiñ tū jaag to sahī
terā yaqīn terā amal tere valvale
hastī kā e'tibār haiñ tū jaag to sahī
o mahv-e-ḳhvāb dīda-e-bīnā ke vāste
ḳhud jalve be-qarār haiñ tū jaag to sahī
be-barg be-libās daraḳhtoñ kī Tahniyāñ
paiġhām-e-nau-bahār haiñ tū jaag to sahī
'aḳhtar'-ziyā.ī niiñd ke mātoñ ke shahr meñ
kuchh log hoshiyār haiñ tū jaag to sahī
Top Urdushayar.com