Akhtar Ziai

wo kam-nasib jo ahd-e-jafa mein rahte hain

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
vo kam-nasīb jo ahd-e-jafā meñ rahte haiñ
ajiib ma.ariz-e-karb-o-balā meñ rahte haiñ
numūd-e-zauq o bulūġh-e-hunar kā zikr hī kyā
yahāñ ye log to āh-o-bukā meñ rahte haiñ
vidā-e-ḳhuld ke ba.ad arsa-e-firāq meñ haiñ
ba-qaid-e-jism dayār-e-fanā meñ rahte haiñ
vo sub.h o shaam mirī ruuh meñ haiñ jalva-numā
dil-e-figār o alam-āshnā meñ rahte haiñ
hisār-e-zāt meñ mahbūs ho ke ahl-e-havas
fareb-e-hāsil-e-be-mudda.ā meñ rahte haiñ
bhulā chuke haiñ zamīn o zamāñ ke sab qisse
suḳhan-tarāz haiñ lekin ḳhalā meñ rahte haiñ
amīr-e-shahr kī sohbat ke faiz se 'aḳhtar'
janāb-e-shaiḳh ab ūñchī havā meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com