rishte  meñ  tirī  zulf  ke  hai  jaan  hamārā
bejā  nahīñ  sumbul  ke  upar  maan  hamārā
sarmā-e-āshufta-dilī  jam.a  huā  hai
aa  dekh  sanam  hāl-e-pareshān  hamārā
jiyūñ  sūrat-e-dīvār  huā  mahv-e-tamannā
mushtāq  tirā  hai  dil-e-hairān  hamārā
darpesh  hai  ham  kuuñ  safar-e-manzil-e-maqsūd
bas  āh-e-sahar-gāh  ye  sāmān  hamārā
tere  lab-e-shīrīñ  kī  sunā  jab  siiñ  hikāyat
kāshāna-e-zambūr  huā  kaan  hamārā
majnūñ  kī  tarah  vahshī  sahrā-e-junūñ  nahīñ
hai  vus.at-e-mashrab  setī  maidān  hamārā
kahte  haiñ  tirī  zulf  kuuñ  dekh  ahl-e-sharī.at
qurbān  hai  is  kufr  par  īmān  hamārā
āzād  kiye  qaid  siiñ  tasbīh  kī  us  kuuñ
hai  gardan-e-zunnār  pe  ehsān  hamārā
siina  ke  tabaq  meñ  hai  kabāb-e-dil-e-pur-soz
jis  din  se  ġham-e-hijr  hai  mehmān  hamārā
ai  shoḳh  kashish  siiñ  tire  abrū  kī  kamāñ  kī
dil  haath  siiñ  jaatā  hai  har  ik  aan  hamārā
ai  jān-e-'sirāj'  ek  ġhazal  dard  kī  sun  jā
majmūa-e-ahvāl  hai  dīvān  hamārā