Rana Husain Chanda

tum ghaTa samjhe the jis ko wo koi baadal na tha

Rana Husain Chanda

tum ghaTā samjhe the jis ko vo koī bādal na thā
thā kaleje kā lahū vo aañkh kā kājal na thā
fāsle kyuuñ ho ga.e itnī mulāqātoñ ke ba.ad
do qadam hī saath chalnā itnā to mushkil na thā
rāt-din kī dāstāñ mujh se ai tanhā.ī na pūchh
dil kabhī bhī us kī yādoñ se magar ġhāfil na thā
jān-e-jāñ ab aap chāhe jo kaheñ mujh ko faqat
aaj kī shab aap se milne kā merā dil na thā
ab to bas bedard lamhe shāmil-e-taqdīr haiñ
vaise merā dil kabhī bhī is qadar ghā.il na thā
phuul kā nazrāna le kar aayā is andāz se
aisā lagtā thā ki jaise vo mirā qātil na thā
mere hoñToñ pe hamesha pyaas ke sahrā rahe
thā ghaTā sā mujh pe lekin TūTtā bādal na thā
chhan-chhanā ke duur tak āvāz gūñjī zor se
TuuT ke bikhrā hai sapnā haañ magar bismil na thā
ishq ne jānāñ ye kyā jaadū sā ham pe kar diyā
dil kabhī bhī is ravayye kī taraf maa.il na thā
kuchh gile shikve shikasta dil se kar lenā kabhī
siskiyoñ se yuuñ bhī 'ra.anā' tum ko kuchh hāsil na thā
Top Urdushayar.com