din-ba-din  ab  lutf  terā  ham  pe  kam  hone  lagā
yā  to  thā  vaisā  karam  yā  ye  sitam  hone  lagā
sach  kaho  taqsīr  kyā  hai  āshiq-e-mazlūm  kī
nīmchā  tirchhī  nigah  kā  kyuuñ  alam  hone  lagā
teġh-e-abrū  kuuñ  nipaT  kaste  ho  pan  hairāñ  huuñ  maiñ
kaun  se  bīmār  par  ye  aab  dam  hone  lagā
shukr-e-allah  sarv-e-rānā  ke  tasavvur  ke  tufail
rafta  rafta  dil  mirā  bāġh-e-iram  hone  lagā
bas  karo  ai  shāh-e-fauj-e-husn  qatl-e-ām  kuuñ
āshiqoñ  kī  aah  kā  neza  alam  hone  lagā
tujh  kuuñ  ai  āhū-nigah  kis  ne  sikhāyā  ye  tarah
yā  to  thā  auroñ  siiñ  ram  yā  ham  siiñ  ram  hone  lagā
hijr  kī  rātoñ  meñ  ye  misra.a  huā  vird-e-'sirāj'
din-ba-din  ab  lutf  terā  ham  pe  kam  hone  lagā