aalam  ke  dostoñ  meñ  muravvat  nahīñ  rahī
sharm-o-hayā-o-mehr  va  shafqat  nahīñ  rahī
zāhir  meñ  kyā  rafīq  kahāte  haiñ  aap  kuuñ
lekin  unoñ  ke  dil  meñ  mohabbat  nahīñ  rahī
milte  haiñ  rāstī  siiñ  jo  koī  kaj-nazar  mile
ḳhvāboñ  meñ  pāk-bāz  kī  hurmat  nahīñ  rahī
har  ḳhaar  bul-havas  ke  kiye  sohbat  iḳhtiyār
to  husn  gul-ruḳhoñ  meñ  latāfat  nahīñ  rahī
nā-lāyqoñ  meñ  umr  kuuñ  karnāñ  abas  talaf
ham-sohbatī  kī  un  meñ  liyāqat  nahīñ  rahī
bhūle  haiñ  har  sanam  ke  karishme  pe  hosh  kuuñ
in  zāhidoñ  meñ  kashf-o-karāmat  nahīñ  rahī
sifle  hue  aziiz  aziiz  ab  hue  ḳharāb
be-jauharoñ  meñ  qadr-e-sharāfat  nahīñ  rahī
mat  ho  bahār-e-gulshan-e-duniyā  kā  andalīb
is  phūlban  meñ  bū-e-rifāqat  nahīñ  rahī
ab  zāt-e-haq  baġhair  na  rakh  dostī  'sirāj'
aalam  meñ  āshnā.ī-o-ulfat  nahīñ  rahī