kiyā  ġham  ne  sarāyat  be-nihāyat
karūñ  kis  siiñ  shikāyat  be-nihāyat
hamāre  qatl  par  muftī  ne  ġham  ke
nikālā  hai  rivāyat  be-nihāyat
tū  apne  ġhamza-e-ḳhūnīñ  kī  zālim
abas  mat  kar  himāyat  be-nihāyat
tire  ruḳh  par  hujūm-e-ḳhāl-o-ḳhat  na.iiñ
ki  haiñ  mus.haf  meñ  aayat  be-nihāyat
kiyā  hai  ishq  ke  haadī  ne  mujh  kuuñ
mohabbat  kī  hidāyat  be-nihāyat
shakar-lab  ne  nigāh-e-dilbarī  siiñ
kiyā  mujh  par  ināyat  be-nihāyat
'sirāj'  ab  dāstān-e-shauq  bas  kar
ki  bejā  hai  hikāyat  be-nihāyat