ik aag dekhtā thā aur jal rahā thā maiñ
vo shaam aa.ī magar haath mal rahā thā maiñ
ye umr kaise guzārī bas itnā yaad hai ab
udaas raat ke sahrā pe chal rahā thā maiñ
bas ek zid thī so ḳhud ko tabāh kartā rahā
nasīb us ke ki phir bhī sambhal rahā thā maiñ
bharī thī us ne rag-o-pai meñ barf kī ThanDak
so ek barf kī sūrat pighal rahā thā maiñ
ḳhudā-sifat thā vo lamha ki jis meñ gum ho kar
zamīñ se āsmāñ ke dukh badal rahā thā maiñ
maiñ ek ahd thā ik ahd kī alāmat thā
hazār chehroñ meñ din raat Dhal rahā thā maiñ
bas ek abr ke saa.e ne aa liyā mujh ko
azaab oḌh ke ghar se nikal rahā thā maiñ