Sabir Waseem

wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi

Sabir Waseem

vo phuul thā jādū-nagrī meñ jis phuul ḳhushbū bhaa.ī thī

use laanā jaan gañvānā thā aur apnī jaan parā.ī thī

vo raat tūl-tavīl safar kyā kahiye kaise aa.ī sahar

kuchh maiñ ne qissa chheḌā thā kuchh us ne aas bañdhā.ī thī

ḳhvāboñ se udhar masāfat meñ jo guzrī hai kyā pūchhte ho

ik vahshat chār-pahar thī ik jaltī huī tanhā.ī thī

vo raat ki jis ke kināroñ par ham milte aur bichhaḌte the

ik baar mujhe tanhā kar us bhī aañkh bhar aa.ī thī

har shaam ufuq duurī par koī sahmā sahmā phirtā thā

tasvīr jo us banā.ī to ḳhud apnī shakl banā.ī thī

Top Urdushayar.com