Sabir Waseem

dekho aisa ajab musafir phir kab lauT ke aata hai

Sabir Waseem

dekho aisā ajab musāfir phir kab lauT ke aatā hai
dariyā us ko rasta de kar aaj talak pachhtātā hai
jañgal jañgal ghūmne vaalā apne dhyān kī dastak se
kosoñ duur ik ghar meñ kisī ko saarī raat jagātā hai
jaane kis kī aas lagī hai jaane kis ko aanā hai
koī rail kī siiTī sun kar sote se uTh jaatā hai
merī galī ke sāmne vaale ghar kī añdherī khiḌkī meñ
us laḌkī se bāteñ kar ke koī mujhe dohrātā hai
kaisā jhūTā sahārā hai ye dukh se aañkh churāne kā
koī kisī kā haal sunā kar apnā-āp chhupātā hai
kachchī muñDeroñ vaale ghar meñ shaam ke Dhalte hī har roz
apne dupaTTe ke pallū se koī charāġh jalātā hai
Top Urdushayar.com