majlis-e-aish  garm  ho  yā-rab
yaar  agar  hove  sham-e-bazm-e-tarab
ḳhūn-e-dil  āñsuoñ  meñ  sarf  huā
gir  ga.ī  ye  bharī  gulābī  sab
mohr  hai  dāġh-e-ġham  siiñ  dil  kī  barāt
naqd-e-dīdār  hai  hamārī  talab
chāhiye  zāhidoñ  kuuñ  hujra-e-tañg
bāġh-e-āshiq  hai  vus.at-e-mashrab
dil  mirā  hai  tire  taġhāful  siiñ
andalīb-e-gul-e-bahār  ġhazab
dil  kī  jāgīr  hai  jamāl-ābād
jab  siiñ  paayā  hai  ishq  kā  mansab
na  mile  jab  talak  visāl  us  kā
tab  talak  faut  hai  mirā  matlab
gul  kī  mānind  mat  pareshāñ  ho
band  kar  misl-e-ġhuncha  apne  lab
sham.a  o  parvāna  siiñ  sunā  hai  'sirāj'
sidq-e-dil  siiñ  adab  hai  tark-e-adab