Murtaza Barlas

hum ki tajdid-e-ahd-e-wafa kar chale aabru-e-junun kuchh siwa kar chale

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934

ham ki tajdīd-e-ahd-e-vafā kar chale ābrū-e-junūñ kuchh sivā kar chale

ḳhud to jaise kaTī zindagī kaaT haañ na.e daur ibtidā kar chale

zard sūraj mash.al bhī kajlā ga.ī chāñd tāroñ ko bhī niiñd aa ga.ī

ab kisī ko agar raushnī chāhiye apnī palkoñ pe sham.eñ jalā kar chale

haal apnā har ik se chhupāte rahe zaḳhm khāte rahe muskurāte rahe

terī tash.hīr ham ne gavārā na dard-e-dil ham tirā haq adā kar chale

laakh ilzām par ham ko ilzām do aur tar-dāmanī ke fasāne kaho

tum meñ aisā bhī koī to ho dosto do-qadam sahī sar uThā kar chale

choT jo bhī paḌī Thiik dil par paḌī us pe bhī ham ne tark-e-talab to na

ham to miT ke bhī ai gardish-e-āsmāñ tere shāne se shāna milā kar chale

Top Urdushayar.com